Wah Re Insaan

Bohat kuch bolte hain yeh parinde bezubaan
Bohat naadan hai kuch samajh na paye insaan
Yeh zameen bhi inhin ki, inhi ka hai aasmaan
Par jo baant rahe inko woh hain insaan
Bant gye jaanvar bhi, bant gye insaan
Kehlate koi hindu, koi kahe muslmaan
Sikho in parindon se, udte hain aazad
Na mazhab inka koi, na hi koi imaan
Khuda ne bnaya insaan, Insaan ne bnaya imaan
Ban ne chala insaan khuda, kia khuda beimaan
Are Rab ko bhi baant dia inhone, bantware yun kar die
Kia alah muslmaan ka, hinduyon ka kia bhagwaan
Wah re insaan

Most popular songs of मोंटी शर्मा

Other artists of Film score