Sahara
Is dil ne jis ko chaha
Zuban ne bhi kuch kaha
Zehen ne mana
Imtehaan
Ishq ki ye Bazi kesi
Tu mujhse razi ha bhi
Phir kyun Zakhmon ki
Intehaa
Likhna to ha bahana
Chahon tujhay bhulana
Mujhse ye ho na pana
Ha Anjana sur lagana
Palken nigahon pe
Jhalke nami in fazzaon mein
Kashish Teri ankhon ki
Khilte Gul baharon mein
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Adhure Mille Jo mukammal huway
Faslay Phir bhi musalsal rahay
Teri aur meri kahani juda thi to
Kyun ek dojay ko lazim rahay
Ye to na Mainny chaha
Ye bhi tune na chaha
Par kyun na Khud se kaha
Awara dil bechara
Urta hawaon mein
Teri dua ki Panahon mein
Dastak Teri sunne ko
Dar mera sadayen de
Tu hi rooh ha
Tu sukoon ha
Tu hi mera sabar ya
Shamil saza mein ha
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara