Kho Gaya

Kho gaya me raste me phir se kyu kho gaya!
Ro gaya ek arse baad phir se kyun ro gaya
Or jo kiya mene khud se hee kiya hai jo kiya
Or jo liya mene haq se hee liya hai jo liya

Or jo diya us ne wo karam hai us ka
Sab kiya khud se ye bharam hai khud ka
Aks tera har baari sharam se jhukta
Zakham khatam tere marham me kuch tha
Fikar me teri mein kidhar nahi ghumta
Kidhar hai tu tujhe picture me dhundta
Akela khara aadi nahi hu me jhund ka
1 baar bulati me 36 baar ruktaa
Katti nahi shaam tujhe pata hee nahi
Sach bolu to tere bin maza hee nahi
Ke hogaya hai zakham se bhaari ye seena
Ke phir se ek dhoke kee jaga hee nahi
Kaise the hum mitaŠµ paiso se gum or
Zaroorat se ziada hee kharche kharŠµ
Ginne pe aa jau to kum par jae ginti
Han itni baar raazo pe parde rakhe
Do baat nahi me aana waala kal
Is me do baat nahi
Wo baat nahi aap galat samjh
Rahi hai wo baat nahi
Showbaaz nahi meri saadgi to dekh
Me koi showbaaz nahi
Jo baat kahee sab sach ho rahi
Gaano me jo baat kahe
Tere chehre pe sooraj kee kirne dikhau
Tu ego dikhari me bhir hee na jau
Jo wafa kare us kee jaga bane
Tu 10 baari maafi mang phir bhi na au
Seekha sarko se sab kuch hum mahir nahi hai
Meri shayari me dukh abhi zahir nahi hai
Zamaane se larte hum aye hai bachpan se
Itna tum jaan lo hum kayar nahi hai

Kho gaya me raste me phir se kyu kho gaya!
Ro gaya ek arse baad phir se kyun ro gaya
Or jo kiya mene khud se hee kiya hai jo kiya
Or jo liya mene haq se hee liya hai jo liya

Mera halka hai jaib teri wish se daru
Tu nahi to bata ab me kis se laru?
Tu aati bhi nahi hai tu jaati bhi nahi
Tere chehre ke lie ab kiya qiste bharu?
Teri ana ke chakkar me piste rahu
Ya zamaane se tere me kisse kahu
Tu kar de na block tujhe mil rahi hai khushi
Par marte dum tak tere hisse rahu
2014 me dekha ek sapna
2018 sirf me mera kamra
2019 tak likhta hee gaya
Khud me jhaanka to jaana tu kisi se kum na
2020 jeeya khushiyo ke bin
2021 haan welcome come in
1 saal ke andar hee phaar dia scene
Mene 2022 mere album ke din
Kaise hum aye tujhe pata hai na
Bhai idhar kaise hum aye
Paise kamae apne kaam se kaam
Rakh ke bhi paise kamaye
Waise na aye jaise lag raha hai
Aap ko hum waise na aye
Jaise hum aye nahi aata idhar
Koi jaise hum aye
Mujhe sunte nahi the jin ko jaanta tha me
Ab sunte hai wo jin ko jaanta nahi me
40 the 36 ko maana tha bhai ab un
36 me 4 ko bhi maanta nahi me
Dekhni sachai to in aankho me dekh
Log karte message tu laakho me ek
Dekhe hue bhi ek arsa hua use
Kiya karu bharta nahi yaado se pait

Kho gaya me raste me phir se kyu kho gaya!
Ro gaya ek arse baad phir se kyun ro gaya
Or jo kiya mene khud se hee kiya hai jo kiya
Or jo liya mene haq se hee liya hai jo liya

Most popular songs of Aleemrk

Other artists of Asiatic music