Fear

Arif, Arif Khan

Rehta akela pasand aye na insaan koi
Sine mein Dil jese khali ho makaan koi
Zindgi jese sadak ho sunsaan koi
Sishe mein bhi jese khada ho anjaan koi

Uthata phone par deta na reply
Kya ye ego koi deta na safai
Kala mashooqa fame lagti tawafi
Demotivated thoughts duniya lage ek side

Man kare marne ka zinda kala ke sahare
Na real lage kuch aj kal fake lage sare
Gire zroor par na kisi se hare
Dil mein gum boht fir bhi haske zindgi bitare

Chehre pe hassi chale zindgi ka bura daur
Suicidal thoughts lage andhera charo aur
Maut barhaq main waqat mangu thoda or
Sapne bade aukaat se hustle pe laga pura zoor

(Chorus)
Aj kal lage dar
na zamane ki khabar
Ya maula de sabar
kandho pe bhojh lamba safar

(Verse 2)
Khud mein reh ke kyu main khud se pareshan
Khuda jane kyu bana aisa insaan
Meri nazme inhe lagti fazool
Meri batte samjh paya ni jahaan

Kya main mentally disturbed ya main depressed
Bas boht bhag liya thoda chahiye rest
Khud beate bnai khud rap likhe
Hustle se piche na hata hmesha diya best

Ek din show bhi lage naam hoga charo or
Ganne trend bi krege lake auga dor
Note hawa mein udege tracks krega shor
Ye tab bi keechege niche inse lagna ni zor

Maa ke pero mein rakh dunga duniya jeet ke
7 figures lunga main ek geet ke
Ye tarsege meri awaaz sunne ko
Ganne bajege sapeakers pe srr hilege beat pe

(Chorus)
Aj kal lage dar
na zamane ki khabar
Ya maula de sabar
kandho pe bhojh lamba safar

Trivia about the song Fear by Arif

Who composed the song “Fear” by Arif?
The song “Fear” by Arif was composed by Arif, Arif Khan.

Most popular songs of Arif

Other artists of Scandinavian rap