Rozi

Gingger Shankar, Saniya Saeed

Jo kuch b seekha
Ghaltiyon se hi to seekha mene
Khud ko sambhala
Gir k hi to uthna seekhe mene
Jab bhi bikhri to
Bikhar k simatna seekha mene
Jab khwaab toote tbhi
Unko poora krna seekha mene
Kbhi to me bhi nazuk si kali thi
Kabhi to me bhi baba ki pari thi
Raston pe dar dar k hi to chali thi
Duniya jo kehti manti me sahi thi
Pr qismat ne jo diya tha wo muqaddar me
Akele tha chalna zindgi ke safar me
Apni mehnat se aj me khari apne pairon pe
Isi jazbe se aj hua khud pe fakhr he
Asar he ye mjhpe logon ki baton ka
Faraq he ye soch or duniya ki nazron ka
Duniya to bolti thi bolti rahegi ye
Himmat ka he parwana parwaz he hoslon ka

Akele hi kata mushkil se mene mushkil waqt
Ghar me theri aurat bahar nikalte bani mard
Tanqeed ka nishana banti rahi har waqt
Khud ko mazboot rakha chupaya mene har dard
Mazdoori se shurwat rangon me aake tiki me
Aurat ho k b me apni madad aap bani me
Log peeche bole pr bure waqt me koi na poochta
Pr jab tak he sans mehnat se kbhi na thaki me
Kab tak rahun invisible zanjeeron me
Himmat ki chamak he hathon ki Lakeeron me
Kab tak krun phool ban k kanton ka saamna
Kanto ko katne k liye kulhari bnu me

Trivia about the song Rozi by Eva B

Who composed the song “Rozi” by Eva B?
The song “Rozi” by Eva B was composed by Gingger Shankar, Saniya Saeed.

Most popular songs of Eva B

Other artists of Pop