Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan [Happy]

MITALEE SHASHANK, RAAM LAXMAN, RAVINDRA RAWAL KI

Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai

Janmdaata hai jo naam jinse mila
Thamkar jinki ungli hai bachpan chala
Kaandhe par baithke jinke dekha jahaan
Gyan jinse mila kya bura kya bhala
Itne upkaar hain kya kahen
Yeh bataana na aasaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai

Janam deti hai jo maa jise jag kahe
Apni santaan mein pran jiske rahe
Loriyan hothon par sapne bunti nazar
Neend jo vaar de hanske har dukh sahe
Mamta ke roop mein hai prabhu
Aapse paaya vardaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai

Aapke khwab hum aaj hokar jawaan
Us param shakti se karte hain prarthna
Unki chhaya rahe rehti duniya talak
Ek pal reh sake hum na jinke bina
Aap dono salaamat rahe
Sabke dil mein yeh armaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai

Trivia about the song Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan [Happy] by Hariharan

Who composed the song “Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan [Happy]” by Hariharan?
The song “Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan [Happy]” by Hariharan was composed by MITALEE SHASHANK, RAAM LAXMAN, RAVINDRA RAWAL KI.

Most popular songs of Hariharan

Other artists of Film score