NUMB

Akshat Nayak

Karna chahu pyaar mai phirse pr pyaar ke badle ab milti wafa kaha
Milta na hai waqt sambhalne ka phirse girane me lag jaati duniya
Jeeta har roz akela mai ladta ladayiyaan khud hi Akela Ban
Pr kabhi kabhi roz rulata hai khaane ko daudta mera akela pan
Kaash hota koi jiss se mai krleta dil me dafan hai jo kai saari baatein
Yaa baanta kisse mai jis se jo saath me milke banate afsaane
Kaash hota koi jis se lipat ke me roo leta jab jab dil bharjaaye
Kaash hota koi jiski mai godd me sar rakh sukoon se bhar paata aahein
Chup reheta hu jab koi poochta kaisa hai tu kya haal hai mujhse
Ab kya hi batau kisi ko ki haal filhaal mai khush nahi khud se
Mehesoos na hota hai ab kuch khud ki khud me mai ho gaya hu bandh
The only emotion I can feel now is that I'm NUMB
Samajh me nahi aata hai ab kis kism ka imtehaan le raha hai rab
Sirf sapne hi sacche se lagte Asliyaat me jhooth lagta hai sab
Naa jaane gum rakh ke sirane sota rukna hai kab ye daur musalsal
Man kare jab roone ka dilse toh bhul ke bhi aansu aate nahi ab
Khoo Chuka hu mai raaho ko apni jo nikal pada tha kal khud ki talaash me
Miljaayega khud me sukoon mujhe har pal reheta hu bas isi aas me
Mere kamre ki 4 diwaari mujhe keheti hai koi nahi jald hoga sab theek
Sun usko mai phirse uthake panne hosh sambhaal lag jaata hu kaam pe
Hn chal ab sach hi toh hai krna maine parwaah bhi koyi nahi
Samajhta hu sabko mai pr mujhko samajhne wala koi nahi
Phirse ek shaam beetjaayegi tanhaayi me
Kyuki
Baat karne ko log hazaar pr baat karne wala koi nahi

Trivia about the song NUMB by Lonewolf

Who composed the song “NUMB” by Lonewolf?
The song “NUMB” by Lonewolf was composed by Akshat Nayak.

Most popular songs of Lonewolf

Other artists of Heavy metal music