Aakhri Batein

Nihar Hodawadekar

Kuch batein rehti jo zabaan pe nahi aati
Unhi ansuni baato ko aaj me sunadu
Me badshaho ki tarah har baat rakhta chala
Pr kuch ankahi bateein hai jinka aaj bhi gulaam hu
Bohot kuch hai kehneko jo kehneko me dartha tha
Sochta tha rehenedo wo zehen me jo bhadka tha
Ladta tha ye ladka fir bhi ladkhada ke chalta tha
Saans lete rehta fir bhi tadfadake marta tha
Yeh dardnaak bukar ko mai sar chada ke baitha tha
Me zalzala tufaan me hi ghar banake rehta tha
Me mukh se khush hu mujhse door hu dukh me choor hu
Me khudka guru khudko ghuru khudpe gurur
Aisa nahi ke mene aaj tak paap kuch na kiya ho
Pass dudh tha pr kabhi saap khush na kiya ho
Har chunauti ka samna krkeni mujhme himmat
Bhale bachpan me theekse mene maa ka dudh na piya ho
Gharke jabse janaze do jalake jo aya tabse
Ghar ake mujhe lagake me band or age salakhein
Fir tang aake gaya rulate apnoko bina manake
Mere feelings bhi wo janaze ke sath jaise khallas the
Halake na jante hue kal age kya hoga mera
Kala ke sahare jeeke bhala kese hoga mera
Halaatein na sath bas aatmavishwas ab
Salahein na banate hai ghar aake anaaj mer
Galtiya hai kaafi pr sabak bacha na koi
Chamakta chammach nahi or chamatkar na koi
Sab khade khade kinare pe bajate rahe taali
Par iss dubte shaqs ki dukhti rag samaj saka na koi

Har saas jaise aakhri saas hai
Har aas jaise aakhri aas hai
Chal sath mere aakhri baar hai
Rakho yaad yeh akhri baatein
Har saas jaise aakhri saas hai
Har aas jaise aakhri aas hai
Chal sath mere aakhri baar hai
Rakho yaad yeh aakhri batein

Jeevan me bada kuch karna warna marna behtar hai
Yaadgar jeevan ya jeena yaade chaar lekar hai
Shyam naam chacha ka pr baap ne ki hera pheri
Yeh baghban khatam meri me bahar bhaga theater se
Saam daam nahi jab baat aan maan lekar hai
Char din ki chandni se chaar chand behtar hai
Sir jhukake baithu mai jab views aate kam
Kyuki jee reh hum ganome apni jaan waan dekar hai
Badu me aage kaise jab jeb me na paise
Family middle class bole baski na banna aise
Yeh likhne wala essay bana kaise yeh ese
Mere ganome dard jaise kanome rafi saab ke casset
Pyaar tha chacha ka har choti nokk jhok me hi
Ashirwad hai uska chot sakti mujhko rokk nahi
Upar dekh ke karu afos kyuki laut kar
Ati bas wo yaade hai gujre hue log nahi
Me janta ki banawat or janta ki amanat
Yeh janta ki adalat di hai janta ne jamanat
Or ghanta nahi ki mene kabhi janta ki banawat
Kayamat me salamat hu me janta ke badaulat
Meri jeetne ki bhuk badi bar bar haar pake
Pathhar dil bachpan se bar bar maar khake
Khel me khelu bhale jeetu na sahi
Kyuki hum dil jeetne wale aksar khel haar jate

Har saas jaise aakhri saas hai
Har aas jaise aakhri aas hai
Chal sath mere aakhri baar hai
Rakho yaad yeh akhri baatein
Har saas jaise aakhri saas hai
Har aas jaise aakhri aas hai
Chal sath mere aakhri baar hai
Rakho yaad yeh akhri baatein

Trivia about the song Aakhri Batein by Nazz

Who composed the song “Aakhri Batein” by Nazz?
The song “Aakhri Batein” by Nazz was composed by Nihar Hodawadekar.

Most popular songs of Nazz

Other artists of Psychedelic rock