Khot

Saad Khan

[Verse]
Mujhe na chahiyen rishtay khot se bharay na dost buray
Mujhe na chahiyen loag jo roz hi peet mein khobtay chhuray
Mujhe na paalne saamp, mera na inmein kaam
Lena na intikaam, inka na intezaar
Bas chahta na ho mera inmein naam

Inmein insaan na, ya shayad main insa na
Intezaar na sach mein ab inke aanay k din ginta na
Waqt ye qeemti, main tabhi ab sochta inka na
Raaten main sehta andheri ab intezaar ae din ka na

Din gaana gaane mein katt'ta
Bahaane nai karta, Afsaane main bharta
Har taane se larhta, Wo khaane ko parhta
Main aainay se darhta, masal de koi larhka, bhai main na hoon garda

Farq nai parhta ab apnon ki kadar bas
Zair hein ye zabar main zabardast
Meri nazar mein toh khachar ye nazarband
Phelaate rahen ab jhooti ye khabar das

Kabal az waqt nai, baad az waqt aе
Pathar ka na sahi ab dil mera sakht ae
Teri nazar mеin ab Saad Kambakht hai
Baaten hein karwi aur lehja bhi karakht hai

Ye kala hi sagi meri mujhe rab ne diya hai tohfa ye
Us rab ka hai saya is sar pe phir hona ab kiska khauf hai bey
Zindagi maut hai rab k hath phir chahay kisi k b hath se
Larha halaat se raha aukaat mein par dekhe mainay b haadse

Ab naaz hai apnon ko
Udaas na karta sapnon ko
Ye krjaate nazarandaaz
Agar inko izzat tum hath mein rakh do toh

Waqt ho toh kabhi aana is mehfil mein
Gaane sun'na aur samajhna kya hai dil mein
Chorhay ye zakham aur diye rab ko silnay
Mehnat pe zore hai wo chorhega manzil pe

Dil mein rahay jo
Ab shamil na hotay hein naye loag
Wo andar se pareshan se
Saad na rokta ab hein gaye jo

Gaye jo jaane diya hai
Khud se aeson ko gawaane diya hai
Mithaas e tanhai ka maza liya
Pehle karwa ghoont b toh mainay piya hai

Most popular songs of Saad Khan

Other artists of