Desperation

Talha Anjum

[Verse 1]
Soch mein tu khoi hui
Jhoot tu na bol sake
Sach kabhi chupe na
Tu kal raat roi bhi thi
Tu tou theek se soi bhi nahi
Tere aqsh motiyon se kam nahi
Tu apni keemat mujhse puch tou sahi
Puch tou sahi
Tera saath anmol
Tu tol ke bole phir bhi har baat anmol
See how I unfold
Main dil ki baatein iss kalam se zaahir karu
Main bin Qasim, inn sab ko Raja Dahir karu
Fake log apne kamre se baahir karu
I got everything I need, mein bas vibe karu
Ab main type karu text aur phir bhejun nahi
Tu mera aks hai main kaise tujhe dekhun nahi?
Dil fareb tu, tujhse chaahe kyun qareebi?
Asal hiqmat hamein dhokay khaakar he mili thi
Teri meri yaari bemisaal he rahi thi
Tere wisaal ke khayaal main tha ghum abhi
Wehem tha mera ya guzar rahi thi tum abhi
Tum mera nasha mera high meri ecstasy
Ye loug nahi hain dost mere
I am invited everywhere ye sab host mere
You need to talk jab tu peelay dou neat
Duniya se dur noise cancel karey Sony
Meri duniya se sulah bhi ab nahi honi
Zindagi keemti lagi when I buried my homie
Kis tarah kahun kitni baat ye ajeeb
Sun liya sab jo tune kaha bhi nahi
Guzrein hai dil se tere, rahay tou nahi
Dil se bade khwaab
Hum unse bade tou nahi, tou rou nahi

[Verse 2]
Ab darmeyaan ek ajab sa faasla hai
Tujhse umeed koi nai phir bhi tera aasra hai
Bohot sawaal hain par pehle ye batao ke
Dast-e-Saaqi aaj iss tarah kyun kaanp raha hai
Main baitha hu bedili ke bazaar mai
Koi rahageer jo hamare gham ye baant jaaye
Mujhe teri laparwaahi pe hairaangi hai
Koi kaise aik umar tere liye jaagta hai
Aashnaayi thi tere se ek zamanay main
Ab dil tijoori band ye waqt ke khazaane mai
Wo mujhse puchte hain kab meri rawaangi
Main kehta baaki ek bahaar mere aanay main
Phir mehek uthayga dil tera fikar na kar
Main tera apna, mera ghairo mein zikar na kar
Bharosa khud pe jitna uska aadha mujh pe kar
Tujhse mukhlisi, tere muntazir
Kuch yaar dil se utrey kuch yaar tou badshah hain
I know a bunch of people ab bhi mujhse khaar khaayen
I know a lot of people jinke dil se dua aaye
Vo dua karay asar tabhi khada idhar
Dil se bade khwaab and it only kept getting bigger
Ab theek ghar ke saamnay billboard pe boy
Thirty-thousand feet upar teri soch se boy
Ye khuda ki nawaazishein meri zaat pe hoyn
Main mukar hi nahi sakta iss baat se
Kitni raatein kaali ki hain iss kala ke khaatir
Baday din lage hain uss raat se iss raat main
Khuda meharbaan kisi ne ye beej boye
Khuda gawaah, giraaye gaye na rok paaye
Sharam saar khaday unhein mout na aaye
Mujhe sunein, kese shayari ka shauq na aaye?
Maut dekhi apni aankhon se par khauf na aaye
We all die

Trivia about the song Desperation by Talha Anjum

When was the song “Desperation” released by Talha Anjum?
The song Desperation was released in 2023, on the album “Open Letter ”.

Most popular songs of Talha Anjum

Other artists of Asiatic music