Voh Chaand Jaisi Ladki

Ismail Darbar / Nusrat Badr

Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai - 2
Aankhon ke raaste se is dil mein aa rahi hai
Voh chaand, voh chaand
Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai
Alhad si bholi bhaali maasoom yeh sharaarat
Badli nahin hai ab tak bachpan ki uski aadat
Tadpa rahi hai yaadein, ho jaaoon na na ho jaaoon
Ho jaaoon na main paagal
Aa jaaye saamne voh, yeh jaan jaa rahi hai
Voh, voh
Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai
Mera chaand baadalon mein kyoon jaake kho gaya hai
Ab door is kadar voh kyoon mujhse ho gaya hai
Kyoon jee raha hoon tanha yeh yaad bhi nahin hai
Bas itna yaad hai ke voh yaad aa rahi hai
Voh chaand, voh chaand
Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai
Aankhon ke raaste se is dil mein aa rahi hai
Voh chaand, voh chaand jaisi

Trivia about the song Voh Chaand Jaisi Ladki by Udit Narayan

Who composed the song “Voh Chaand Jaisi Ladki” by Udit Narayan?
The song “Voh Chaand Jaisi Ladki” by Udit Narayan was composed by Ismail Darbar and Nusrat Badr.

Most popular songs of Udit Narayan

Other artists of Alternative / Indie