Sun to Zara
Tu sun to zara,
Awaz lagate hum,
Sun to zara,
Tujhe bulate hum,
Sun to raha,
Tu hoga kahi se,
Ye baatein jo teri,
Hum gaano me gaate.
Gumsum sa raha,
Ye dil bina tere,
Tham sa gaya,
Ye waqt,
Adhura jo tu kar gaya,
To sansein bhi mujhse,
Rukhsat ho chala.
Mehsoos karu to,
Tu samne bethi,
Fijul kahu to ye,
Baatein hai kadwi,
Jo dooba main,
Khud hi ke ashq ke sagar me,
Banke sahara,
Tu milta kyu nahi.
Ye to chalawa hai pyar ka,
Sabko muqaddar ye hasil hota nai,
Hota jo mukammal ye pyar ka sahil,
To doobta kabhi isme koi ashiq nai.
Meri tum kitabo ke panno me kaid ho,
Ye na kahunga ke tum mere gair ho,
Aake is pyar ke sagar me tair to,
Kaise karau yakeen tujhe khair chor,
Tu bta tera kya hal,
Tujhe bhi nind bina mere ati kya?
Ab kitna khud hi se karu sawal,
Tu mere halaton se whakif kya?
Hai ye munasib kya,
Ye tera mujhe ase chor ke jana?
Hua fir hasil kya?
Mera jo mujhi me na laut ke ana.
Kat-ta saza karke tujhse pyar,
Rihayi mile bhi ab kyu hi,
Khata to hui beshak mere yaar,
Ab Karo insaf ye tum hi.
Tu sun to zara,
Hai kyu chup tu mujhko bata,
Kyu hai mujhse itni khafa,
De na ab tu asi saza.
Hai kyu chup tu mujhko bata,
Kyu hai mujhse itni khafa,
De na ab tu asi saza.
Tum mere pas jo nahi,
Fir tera zikar kyu wahi,
Tum jo na aaoge wapas,
Ha fir ye ummid hi sahi.
Main to bebas teri yaadon me,
Sapne sanjota or unhi ko jita hu,
Gar tu hai jo thodi bebas,
To aake ye haath kyu thamti nai.
Tumhe to dar tha kabhi,
Is rishte ko nazar lag jae na,
Ab jo lga hai nazar ye khud hi ka,
Ye tujhe dikh kyu ab pae na.
Main to ummid karu,
Tujhe waade wo tere ab yaad bhi aae na,
Kare afsos un waado ka,
Palko pe tere fir aashu aa jae na.
Aau jo yaad kabhi bhi,
Tum dil se awaz lagana,
Milunga wahi pe bhatakta,
Bas aana jaldi kahi der ho jae na.
Kahi der ho jae na,
Ha kahi der ho jae na,
Ha kahi der ho jae na,
Tu sun to zara,
Hai kyu chup tu mujhko bata,
Kyu hai mujhse itni khafa,
De na ab tu asi saza.
Tu sun to zara,
Hai kyu chup tu mujhko bata,
Kyu hai mujhse itni khafa,
De na ab tu asi saza.