Dear Zainab

Talha Anjum, Talhah Yunus

[Chorus: Talha Anjum]
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai

[Verse 1: Talha Anjum]
Umar 7 saal, befikar woh kal se
Woh jaa rahi hai ghar se madarse ko chal ke
Chota sa qad aur qadam uske halke
Aur uski aankhon mai se dua maa ki chalke
Usse na samajh aayi hua kia aur hua kiun
Woh puchegi khuda se kon tha woh aisa kiun
Kitne sawaal honge uske labon pe
Aur idhar police chirkay namak mere zakhmon pe
Ab peeche rehgaye muzakarat muzahiray
Social media b chup, bhool gaye sab, zaahir hai
Hum tou bas follow kerte trend
Waqt guzar jaata, every story's gotta end
Lekin kab tak?
Hawwa ki beti darti rahaygi
Aur kab tak?
Woh izzat k maaray hi chup rahegi
Aur kab tak?
Ahle khaana izzat bachate rahengay
Aur kab tak?
Hum Na baligh Janazay Uthate rahengay?

[Chorus: Talha Anjum]
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai

[Verse 2: Talhah Yunus]
Bare aksar kehte lafzon mai bari taakat hai
Masla logon mai nai, masla sakafat mai
Masla is soch mai, aur na kero khul k baat apno se
Tabhi mard geedar banne sabko dabochrahay
Mai saaray mardon se abhi mukhatib
Tum saaray izzat kamatay
Usko mili izzat tohfay mai Khuda se
Kyun ye log bhuljatay
K inko dunya mai lanay wali ek aurat zaat hai
Bari ajeeb si baat hai
Apne hi bachon k saamne khul nai patay
Maashray k is karway sach ko rakhte ye chupa ke
Kyun nahi sikhate?
Kyun unko nai batate
Kia ghalat aur kia sahi aur
Kaafi bachon ko zinda laashen banane wale apni hi
Kiun ye baaten dabraheen?
Aur kyun hamare mulk ki izzat zinda laashen
Banraheen?
Jungle ka hai qanoon yahan
Log saaray ghaafil
Zameer ko bechen
Hawas ki khatir, mujhse pucho tou
Hum saaray hi zainab k qaatil
Bacha har ghar ka baray naazon se jo palta
Kiun is maashray se darta
Hevanon ki is basti mai kyun suuraj nai nikalta
Aur sirf soch lene se andheray nai jatay
Chiragh b khud b nai jalta usko jalana parta

[Chorus: Talha Anjum]
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai
Dear Zainab, qoum sharminda hai
K margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain
Dear Zainab, ab tu salamat hai
Teri hasti hui woh tasveer ek jeeet ki alamat hai

Most popular songs of Young Stunners

Other artists of Asiatic music