Aa Batadenge Tujeh Kaise

Rafi:
Kaise Jeete Hein Bhala, Ham Se Seekho Yeh Ada (2)
Aise Kyon Zinda Hein Log, Jaise Sharminda Hein Log,
Dil Pe Sehekar Sitam Ke Teer Bhi,
Pehenkar Pavun Mein Zanjeer Bhi,
Raks Kiya Jaatha Hai,
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai (2)

Dar Se Khamosh Hai Jo, Kaisa Befeer Hein Voh,
Han Voh Insaan Nahin, Ek Tasveer Hein Voh,
Shotgun Sinha (Ss):
Tho Baftha-E-Khuda, Jisse Darta Hai Apan,
Aur Is Gareebi Mein, Badi Mauj Karta Hai Apan,
Rafi:
Pareshan Lakh Sahi, Gul Nahin Khakh Sahi,
Zindagi Hai Lajawab, Yeh Voh Beva Hai Janab,
Khubsurat Hai Jo Dulhan Se Bhi,
Dost Tho Dost Hai Dushman Se Bhi,
Pyar Kiya Jaatha Hai
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai (2)

Cheez Is Gam Se Badi, Is Zamane Mein Nahin,
Jo Maza Rone Mein Hai, Muskurane Mein Nahin,
Ss:
Isliye Tho Bhai, Ruki-Sukhi Jo Mile Pet Bharne Ke Liye,
Aur Kafi Do Gaj Hai Zameen, Jeene Marne Ke Liye
Rafi:
Kaise Nadaan Hai Voh, Gam Se Anjaan Hai Jo,
Ranj Na Hota Agar, Kya Kushi Ki Thi Kadar,
Dard Khud Hai Maseeha Doston, Dard Se Bhi Dava Ka Doston,
Kaam Liya Ja Tha Hai..
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai

Lata:
Chain Mehelon Ki Nahin, Rang Raliyon Mein Mujeh,
Dedo Thodi Si Jagah Apni Galiyon Mein Mujeh,
Jhoom Kar Nachne Do, Aaj Masti Mein Zara,
Le Chalo Saath Mujeh Apni Basti Mein Zara,
Bana Ho Sone Ka Bhi, Pinjara Hai Pinjara Ji,
Paisa Kis Kaam Ka Hai, Dhoka Bas Naam Ka Hai,
Rokle Jo Labon Pe Geet Ko, Apne Haathon Se Aisi Reet Ko,
Thod Diya Jaatha Hai..
Maine Bhi Seekh Liya Kaise Jiya Jaatha Hai
Rafi:
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai (2)
Ss:
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai (2)
Chorus:
Aa Batadenge Tujeh Kaise Jiya Jaatha Hai (3)

Most popular songs of Lata Mangeshkar

Other artists of Film score