Aye Mere Dil-E-Nadaan

Asad Bhopali

Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana (2)
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana

Armaan Bhare Dil Mein Zakhmon Ko Jagah De De (2)
Bhadke Hue Sholon Ko Kuch Aur Hawa Dede
Banti Hai To Ban Jaaye Yeh Zindagi Afsaana
Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana
Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Fariyad Se Kya Haasil Rone Se Natija Kya (2)
Bekaar Hai Yeh Baatein In Baaton Se Hoga Kya
Apna Bhi Ghadi Bhar Mein Ban Jaata Hai Begaana
Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana
Aye Mere Dil-E-Nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Trivia about the song Aye Mere Dil-E-Nadaan by Lata Mangeshkar

Who composed the song “Aye Mere Dil-E-Nadaan” by Lata Mangeshkar?
The song “Aye Mere Dil-E-Nadaan” by Lata Mangeshkar was composed by Asad Bhopali.

Most popular songs of Lata Mangeshkar

Other artists of Film score