Haan Jab Tak Hai Jaan

Anand Bakshi / R.D. Burman

Oh, oh oh oh, oh oh oh oh
(Haan, jab tak hai jaan jaane jahan
Main naachoongi) - 4
(Pyaar kabhi bhi marta nahin
Maut se bhi yeh darrta nahin) - 2
Lut jaayenge, mit jaayenge, mar jaayenge hum
Zinda rahegi hamaari daastaan
O haan, jab tak hai jaan jaane jahan
Main naachoongi
(Toot jaaye paayal to kya
Paaon ho jaaye ghaayal to kya) - 2
Dil diya hai dil liya hai, pyaar kiya hai to
Dena padega mohabbat ka imtehaan
O haan jab tak hai jaan jaane jahan
Main naachoongi - 4
(Yeh nazar jhuk sakti nahin
Yeh zubaan ruk sakti nahin) - 2
Main kahoongi gham sahoongi chup rahoongi kya
Bebas hoon lekin nahin main bezubaan
O haan jab tak hai jaan jaane jahan
Main naachoongi
Haan jab tak hai jaan jaane jahan
Main naachoongi - 5

Trivia about the song Haan Jab Tak Hai Jaan by Lata Mangeshkar

Who composed the song “Haan Jab Tak Hai Jaan” by Lata Mangeshkar?
The song “Haan Jab Tak Hai Jaan” by Lata Mangeshkar was composed by Anand Bakshi and R.D. Burman.

Most popular songs of Lata Mangeshkar

Other artists of Film score