Jaan Meri Rooth Gayi

Majrooh Sultanpuri

(jaan meri rooth gayi jaane kyon hamse
aafat mein aafat mein pad gayi jaan) - 2
are laakh kahoon ek nahi maane kasam se
aafat mein aafat mein pad gayi jaan, jaan meri rooth gayi re

ban jaau shola ya chingaari chhodu nahi main baah tumhaari
ya ye tamaasha dekhegi duniya ya phir maano baat hamaari
ladana bhi hai tumase sanam milana bhi tumase
aafat mein aafat mein pad gayi jaan, jaan meri rooth gayi re

naak pe gussa ankhon mein masti thodi garazati thodi barasati - 2
chum na le koi aisi ada ke honto se chup hai aankhon se hasati
pichhe hi pad jaaye bacho - 2, aise sanam se
aafat mein aafat mein pad gayi jaan
laakh kahoon ek nahi maane kasam se
aafat mein aafat mein pad gayi jaan
jaan meri maan gayi maan gayi jaanu
aafat se aafat se bach gayi jaan, jaan meri maan gayi re

Trivia about the song Jaan Meri Rooth Gayi by Lata Mangeshkar

Who composed the song “Jaan Meri Rooth Gayi” by Lata Mangeshkar?
The song “Jaan Meri Rooth Gayi” by Lata Mangeshkar was composed by Majrooh Sultanpuri.

Most popular songs of Lata Mangeshkar

Other artists of Film score