Kaha Chala Gaya Tu
ched yu karti hai duniya tere naam ke saath
hans ke leti hai mera naam tere naam ke saath
kar ke badnaam meri neenden haraam
kaha chala gaya tu kaha chala gaya
karne ko baaten karu tujh se khayaalon mein
phir bhi na maane dil to kya karu
kab tak bhigoya karu ashkon se palkein
kab tak judaai mein aahen bharu
jab se hui shaam mujhe rone se kaam
kaha chala gaya ...
bhatke nazar meri ban mein chaman mein
chain main dil ka kahi bhi paau na
dil mein bhadak chale shole judaai ke
haay inhi mein kahi jal jaau na
ho na badnaam kahi tera hi naam
kahaan chala gaya ...