Khaamosh Hai Khewanhaar Mera

khaamosh hai khewanhaar meraa,
naiyyaa meri doobi jaati hai

khaamosh hai khewanhaar meraa,naiyya meri doobi jaati hai
zindaa hun magar ab jine ki,umeed bhi tuTi jati hai

saahil ki tamannaa thi mujhko majhadhaar me bedaa jaa pahonchaa
jeene ki duaayen kyun maangu, paani to gaale tak aa pahonchaa
dil dhundh rahaa hai duniyaa ko,duniyaa hai ke chhuti jaati hai
naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa...

gham apnaa zubaan tak laa na sakun,sansaar ko munh deekhlaa na sakun
ghutataa hai jo dam,rukte hai qadam,
badhte hai qadam,rukte hai qadam,
ghutataa hai jo dam,rukte hai qadam,manzil ki taraf bhi jaa na sakun
bhatakaa huwaa raahi jaan ke ab, taqdeer bhi ruThee jaati hai
naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa...

charano mein tere hai laaj meri,suun aaj zaraa fariyaad meri
tu duur nahin, majboor nahin,nagari hai magar barbaad meri
kyaa yunhi garibon ki duniyaa,sansaar mein looti jaati hai
naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa...

Most popular songs of Lata Mangeshkar

Other artists of Film score