Chai Aur Tum
Hai raat chandni tu hoti chhat pe saath mein
Ek mein chai dooja haath tere haath mein
Chai ke jesa swaad hota teri baat mein
Main aksar duba rehta bas yoon hi mein
Chai to hai main tera saath soch leta hun
Chai ki aah mein hi tujhko khoj leta hun
Wo bhini khoosbu ghulti hai jab in hawao mein
Main aankhein band karke teri saansein toh leta hun
Jo choomu pyaala sochun hoth tere choom liye hai
Main khud mein khud na iss qadar tu meri ruh liye hai
Hai yaad tumko pal wo lab se jab the lab mile
Har ek sec mein hai woh yaad jo sukoon liye hai
Dhundhu chai mein mithaash ho tumhari
Jaise mitti ki sugandh toh tumhari
Jaise tujhko saamne se dekhu to chadhe
Theek wahi chai ke rang mein khumaari
Yaa ye pyaala ye to main hi khush naseeb hun
Yaa tu bashi hai isme hai mere kareeb tu
Yaa ye rabb ka ishara ki hai shareeq tu
Ya ye wahi kissa ranjha main aur heer tu
Hai ye pyaala chai ka jo aadha ho liya hai
Main di se sochu ye dimaag pyada ho liya hai
Par ab bhi tu basi hai khash hai wazood iska
Jo tujse hua wahi isse wada ho liya hai
Main dekhu chai aur main kuch to fus fusa raha hun
Hai kaan taaro ke bhi yun bud buda raha hu
Yeh chaand bhi jale main yun jo khushnuma raha hun
Ho khud mein khush main jese khud ko gud guda raha hun
Chai ki bund aakhri mein bhi ho tum samaaye
Chai ke khatam hone ka bhi mujhko dar sataye
Wo ishq kya jo ishq dar jakham aur gam na laye
Ho dheeme dheeme subh ye lamha yun hi tham sa jaaye
Ye pyaala ungliyon mein jese jakda hun tumhe
Na chodna ye sochun jese pakda hun tumhe
Na rakhna dheel kya ki pyaala toot jaaye na
Hai dar bhi tera mera saath chhoot jaaye na
Ye pyaala ungliyon mein jese jakda hun tumhe
Na chodna ye sochun jese pakda hun tumhe
Na rakhna dheel kya ki pyaala toot jaaye na
Hai dar bhi tera mera saath chhoot jaaye na