Ek Ghadi
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaqi hai
Tere lab pe mere hone ka nishaan baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaki hai
Shab ke chehre pe chadha rang
Savere ka, to kya?
Shab ke chehre pe chadha rang
Savere ka, to kya?
Dhalte khwaabon mein abhi
Apna jahaan baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaki hai
Yu bichhad ke tu mujhse na saza de khud ko
Yu bichhad ke tu mujhse na saza de khud ko
Abhi haathon se tere jurm o gunaah baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaqi hai
Khilte phoolon ka fasana, to bas bahana tha
Khilte phoolon ka fasana, to bas bahana tha
Bujhte sholon ki dastaan, abhi baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaki hai
Aankhein suni hain
Meri maang ujdi hai, to kya
Aankhein suni hain
Meri maang ujdi hai, to kya
Abhi hathon me mere rang-e-hina baaqi hai
Abhi hathon me mere rang-e-hina baaqi hai
Ek ghadi aur theher, ki jaan baaki hai
Tere lab pe mere hone ka nishan baaqi hai
Ek ghadi aur thehar, ki jaan baaqi hai