Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se

Jeet Gannguli / Manoj Muntashir

chhup gayin shaamein kis gali jaane
chhup gayin shaamein kis gali jaane
ho gayi tum judaa yun dheere dheere
gir gayin haath se jaise laqeerein

hawayein roz aate jaate
sunayein mujhe teri baatein
yeh mere raat din kuch khaas hote
shart yeh hai agar tum paas hote

aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja

aaj bhi tere naam par
jugnu si jalein aankhein meri
oo aaj bhi teri saanson se
hai lipti huin saansein meri
ho dekh le kuch bhi toh nahin
badla tere mere darmiyaan

aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja

jod ke maine jod ke
rakhi hain sabhi yaadein teri
oo tu gayi, jabse tu gayi
soyi hi nahin raatein meri
ho jal gayin dekho jal gayin
taare gin ke meri ungliyaan

aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja
aa bhi jaa tu kahin se, aa bhi ja

Trivia about the song Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se by Sonu Nigam

When was the song “Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se” released by Sonu Nigam?
The song Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se was released in 2016, on the album “Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se”.
Who composed the song “Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se” by Sonu Nigam?
The song “Aa Bhi Jaa Tu Kahin Se” by Sonu Nigam was composed by Jeet Gannguli and Manoj Muntashir.

Most popular songs of Sonu Nigam

Other artists of Pop