BhootKaal

Dinesh Auzi

Maa ke god mein jab mein ne apne aankh kholi
Choti hai zaat mere sabne ye baat boli
Chote se slum mein ek choti hamari kholi
Ghar ke Bahar jaga nahi nikal ne rangoli

Choti Umar mein mein ne apno ke maut dekha
Kandhe diye mein ne asthiya aur shok dekha
Paise na hone ka tyoharo mein mein ne khauf dekha
Dusro ke Shaadi mein mein ne waiter Wala job dekha

3 Baje uthke mein ne newspaper mein pamphlet daale
10 20 Bachane kitne raste chalke nikale
Naale gatar ke aur usse lag ke hamara Ghar tha
Tezz barish aur gatar ka paani andar tha

Samandar tha 26july ko pura Ghar Mera
Usmein bhi hum khel rahe hai chota tha Umar Mera
Maa the isliye kabhi nahi hum doobey
Ghar pe he woh sil dete the chappal hamare tootey

Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal haan

Sharaab ka selaaab dekha
Maa ke ankh mein aansu
Baap ke chehre pe paschataap dekha
Hisaab dekha karte MAA ko Sona bechte waqt
Fir jaake mein ne college aur kitaab dekha

Maa ke bikhre Baal aur bahot si majburi the
Bus muhjse he uske ek umeed ekdum Judi the
Padhana chahte muhje jab uske gardan pe churi the
Adhuri the saare uske khwashishein
Isliye mere zarurat Puri the

College mein tu cigratte ke Kash pe Kash mein tha
Mein kashmakash mein tha
Tu Nike pe tha
Mein rastey Wala maal road side mein tha
Tu bike ride mein tha
Mein Zindagi ke boat pe sawaaar high tide mein tha

Kabhi train ke dhake
Kabhi bus ke chakke
Taxi ke meter par nazre rakhke I
Zindagi se thagke
Late Ghar pahuchke
Par iraade pakke
Aur mein kacha
Zindagi ke tave mein Roz khud ko rakhta
Dupeher ke khaane mein ek vadapav he bus tha

Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal mera
Bhootkaal bhootkaal haan

Trivia about the song BhootKaal by DA Uzi

Who composed the song “BhootKaal” by DA Uzi?
The song “BhootKaal” by DA Uzi was composed by Dinesh Auzi.

Most popular songs of DA Uzi

Other artists of Trap