Zindagi Mil Jayegi

Tony Kakkar

Mujhe teri wafaa ka
Sahara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Meri doobi si kashti ko
Kinara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Tumhein maanga dua mein
Tu shamon mein, subah mein
Main tera hoon mulaazim aur
Tu shaamil aye Khuda mein

Mere mahtaab tera
Nazara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Nahi chaaha mujhe kisi ne
Na apna banaya hai
Tu mujhe lagta hai qismat se
Mere hisse mein aaya hai

Mujhe ab mere hisse ki
Khushiyan mil jaayein toh
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Bada maasoom tha dil mera
Kitno ne dukhaya hai
Haan bohat roya hai yeh chhup chhup ke
Tumne aake hansaya hai

Meri kaali si raaton ko
Sitara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Tumhein maanga dua mein
Tu shamon mein, subah mein
Main tera hoon mulazim aur
Tu shaamil aye Khuda mein

Mere mehtaab tera
Nazara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Mujhe teri wafa ka
Sahara mil jaaye to
Zindagi mil jayegi
Zindagi mil jayegi

Trivia about the song Zindagi Mil Jayegi by Neha Kakkar

Who composed the song “Zindagi Mil Jayegi” by Neha Kakkar?
The song “Zindagi Mil Jayegi” by Neha Kakkar was composed by Tony Kakkar.

Most popular songs of Neha Kakkar

Other artists of Film score