Ye Ishq Nahi Aasaan (feat. Esha Gaur, Shashi Suman & Puneet Dixit)
ek boond mein dard hai laakhon
kehta hai aankh ka paani
marham se bhi na bharegi
apne zakhmon ki nishani
ek boond mein dard hai laakhon
kehta hai aankh ka paani
marham se bhi na bharegi
apne zakhmon ki nishani
haan shartein rakhi thi khushiyon ne
jinko tha dard mein badalna
lafzon ne chhod rakha tha
hothon pe theherna aa
aa
meri aankhein khule jab bhi
khule teri hi aahat pe
jo dum baaqi hai woh nikle
teri chaahat ki chaukhat pe
yeh ishq nahi aasaan
ik aag ka dariya hai
tujhe milke hi jaana hai
jeene ka tu zariya hai
zara ruk ja ae bechainiyan
mujhko thoda aaram de
gham mil gaye hain saugat mein
khushiyon ka tu ehsaan de
khud se hai narazagi
tere gham ka hai ehsaas bhi
chal chal ke thak gaye din mere
aake inko tu shaam de
barfe jami thi aankhon mein
inko tha phir kabhi pighalna
jo likha hua hai pehle se
namumkin hai badalna
aa
meri aankhein khule jab bhi
khule teri hi aahat pe
jo dum baaqi hai woh nikle
teri chaahat ki chaukhat pe
yeh ishq nahi aasaan
ik aag ka dariya hai
tujhe milke hi jaana hai
jeene ka tu zariya hai
meri aankhon mein hai nami
jaane kaisi hai ye kami
na hi sar pe mere aasmaan
na hi pairon tale zameen
main tukda ban ke hui
khud se khud hi khafa hui
mujhmein main hoon ab nahi
jaane kaisi hai yeh kami
haan tay hi nahi tha
khushiyon ke lamhon ka kabhi theherna
kuch aisa ho jisse aankhon ka band ho jaye
ab barasna aa
aa
meri aankhein khule jab bhi
khule teri hi aahat pe
jo dum baaqi hai wo nikle
teri chaahat ki chaukhat pe
yeh ishq nahi aasaan
ik aag ka dariya hai
tujhe milke hi jaana hai
jeene ka tu zariya hai