Ram Chalisa [Chalisa]

SANJEEVANI BHELANDE

Jai Ganesh Girijasuvan
Mangal Mool Sujaan
Kahat Ayodhyadaas Tum
Deu Abhay Varadaan

Shri Raghuvir Bhakt Hitakari
Sun Lije Prabhu Araj Humari
Nishidin Dhyan Dhare Jo Koi
Ta Sam Bhakt Aur Nahi Hoi

Dhyan Dhare Shivaji Man Mahi
Brahma Indra Paar Nahi Pahi
Doot Tumhar Veer Hanumana
Jasu Prabhav Tihu Pur Jana

Tab Bhujadand Prachand Kripala
Raavan Mari Suaran Pratipala
Tum Anath Ke Nath Gosai
Deenan Ke Ho Sada Sahai

Brhamdik Tav Par Na Paave
Sada Ish Tumharo Yash Gaave
Chaariu Ved Bharat Hai Sakhi
Tum Bhaktan Ki Lajja Rakhi

Goon Gaavat Sharad Mann Mahi
Surpatitaako Paar Na Pahi
Naam Tumhar Let Jo Koi
Ta Sam Dhanya Aur Nahi Hoi

Ram Naam Hai Aparampara
Chariu Vedan Jahi Pukara
Ganapati Naam Tumharo Linho
Tinako Pratham Pujya Tum Kinho

Shesh Ratat Nit Naam Tumhara
Mahi Ko Bhar Shish Par Dhara
Phool Saman Rahat So Bhara
Pavan Kou Tumharo Para

Bharat Naam Tumharo Ur Dharo
Taso Kabahu Na Ran Mein Haro
Naam Shakshuhan Hridaya Prakahsha
Sumirat Hot Shatru Kar Nasha

Lakhan Tumhare Aagyakari
Sada Karat Santan Rakhwari
Taate Ran Jeete Nahi Koi
Yuddha Jure Yamahu Kin Hoi

Mahalakshmi Dhar Avatara
Sab Vidhi Karat Paap Ko Chhara
Seeta Naam Puneeta Gayo
Bhuvaneshwari Prabhav Dikhayo

Ghat So Prakat Bhai So Aai
Jako Dehkat Chandra Lajai
So Tumhare Nit Paon Palotat
Navo Niddhi Charanan Mein Lotat

Siddhi Atharah Mangalkari
So Tum Par Jaave Balihari
Aurahu Jo Anek Prabhutai
So Seetapati Tumahi Banai

Ichchha Ke Kotin Sansara
Rachat Na Lagat Pal Ki Bara
Jo Tumhare Charanan Chit Laave
Taaki Mukti Avasi Ho Jave

Jai Jai Jai Prabhu Jyoti Swarupa
Nirgun Brahma Akhand Anoopa
Satya Satya Jai Satyavrat Swami
Satya Santan Antaryami

Satya Bhajan Tumharo Jo Gaave
So Nischay Charon Phal Pave
Satya Shapath Gauripati Kinhi
Tumne Bhaktahi Sab Vidhi Dinhi

Sunahu Ram Tum Taat Hamare
Tumahi Bharat Kul Poojya Prachaare
Tumahi Dev Kul Dev Hamare
Tum Gurudev Pran Ke Pyare

Jo Kuch Ho So Tumhahi Raja
Jai Jai Jai Prabhu Rakho Laja
Ram Atma Poshan Haare
Jai Jai Dasharath Raj Dulhare

Gyan Hriday Do Gyan Swarupa
Namo Namo Jai Jagapati Bhoopa
Dhanya Dhanya Tum Dhanya Pratapa
Naam Tumhar Harat Snatapa

Satya Shuddha Devan Mukh Gaya
Baji Dundubhi Shankh Bajaya
Satya Satya Tum Satya Snatan
Tumahi Ho Hamare Tan Mann Dhan

Yaako Path Kare Jo Koi
Gyan Prakat Taake Ur Hoi
Aavagaman Mitai Tihi Kera
Satya Vachana Maane Shiv Mera

Aur Aas Man Mein Jo Hoi
Manvanchhit Phal Paave Soi
Teenahu Kaal Dhyan Jo Lyavai
Tulsidal Anu Phool Chadaavai

Saag Patra So Bhog Lagaave
So Nar Sakal Siddhata Paave
Ant Samay Raghubarapur Jaai
Jaha Janma Haribhakta Kahai

Ram Chalisa Jo Padhe
Ram Charan Chit Laay
Jo Ichchha Mann Mein Kare
Sakal Siddha Ho Jaay

Trivia about the song Ram Chalisa [Chalisa] by संजीवनी भेलांडे

Who composed the song “Ram Chalisa [Chalisa]” by संजीवनी भेलांडे?
The song “Ram Chalisa [Chalisa]” by संजीवनी भेलांडे was composed by SANJEEVANI BHELANDE.

Most popular songs of संजीवनी भेलांडे

Other artists of Film score